Gau Sewa hi Prabhu Sewa Hai
Donate for Gau Mata
Hamari parampara aur sanskriti ki raksha mein apna yogdan dein.
Be-asahara aur beemar gaayon ka upchar.
Gaayon ke liye hare chare aur
saaf pani ki vyavastha.
Nayi Gaushala ka nirmaan ya marammat.
Kalyug ke Ghore Andhera Mein, Gau Sewa hi Ekmatra Sahara
Kalyug ka Kadwa Sach
Shastron mein likha hai ki Kalyug mein Dharam ke chaar pairon mein se kewal ek pair (Satya) bachega, aur uski raksha bhi Gau Mata ke bina asambhav hai. Aaj hum dekh rahe hain:
Jo Mata apna amrit-tuly doodh pila kar humein bada karti hai, budhape mein usey hi sadkon par thokar khane ke liye chhod diya jata hai.
Pavittar Gau Mata aaj panni aur kachra khane ko majboor hai.
Jin charnon mein 33 koti devi-devtaon ka vaas hai, wo aaj accident aur hinsa ka shikaar ho rahe hain.
Kya hum itne swarthi ho gaye hain ki apni "Mata" ka rin bhool gaye?
Is kalyug ke kathin samay mein, hum ek aisa ashray bana rahe hain jahan:
Mamta ka Karz: Hum har us gaon ko maa ka samman dete hain jise duniya ne “upyogi nahi hai” kehkar thukra diya.
Kasht Nivaran: Accident mein chotil ya bimar gaayon ke liye hum dawayon aur nishulk upchar ka prabandh karte hain, taaki unhe tadapna na pade.
Satvik Vatavaran: Ghore kalyug ki is bheed-bhaad se door, unhe ek shant aur pavitra “Gau-Lok” jaisa vatavaran dene ki koshish kar rahe hain.
Aapka Ek Faisla, Ek Jeevan Bacha sakta hai
Daan toh sab karte hain, lekin “Abhay-Daan” (kisi ko mratyu ya kasht se bachana) sabse bada daan hai. Kalyug ke papon se mukti aur apne parivar ki raksha ke liye Gau sewa se bada koi kavach nahi hai.
“Jab duniya saath chhod de, tab Gau Mata ka aashirwad hi kaam aata hai.”
